Sad shayari for girls is a method to understand the struggles that many girls face in love and life. These shayari lines not only reflect heartbreak and loneliness but also help us relate and, sometimes, heal. You can explore sad shayari for girl in hindi or sad shayari for girl in english to attach with feelings deeply. Many also search for sad shayari image for girl or sad status shayari for girl. Whether it is sad shayari for alone girl or very sad heartbroken shayari for girl, these lines provide insight into emotions helping girls cope.
Sad Shayari for Girls in Hindi

Tum ne zindagi chun li apni marzi ki jo tum par zindagi haar gayi thi uska kya,
Koi mukhlis mile toh sambhal kar rakhna tajurbe na shuru kar dena.
तुमने ज़िंदगी चुन ली अपनी मर्ज़ी की जो तुम पर ज़िंदगी हार गई थी उसका क्या,
कोई मुख़लिस मिले तो संभाल कर रखना तजुर्बे शुरू मत कर देना।
Dhoond hi liya us ne naye dost apne hi shehar mein,
Kon kehta hi door rehne se mohabbat aur bhi gehri ho jati hai.
ढूँढ़ ही लिया उसने नए दोस्त अपने ही शहर में,
कौन कहता है दूर रहने से मोहब्बत और भी गहरी हो जाती है।

Uski marzi hai woh chahe jis se marzi baatein kare,
Mera is baat par ladna nahi banta keh falan meri jagah pe hai.
उसकी मर्ज़ी है वह चाहे जिससे मर्ज़ी बातें करे,
मेरा इस बात पर लड़ना नहीं बनता कि फलाँ मेरी जगह पर है।
Anqareeb hum manzar-e-aam se hatne wale hain,
Ain mumkin hai kuch nigahein humein dhoonda karein gi.
अनक़रीब हम मंज़र-ए-आम से हटने वाले हैं,
ऐन मुमकिन है कुछ निगाहें हमें ढूँढ़ा करेंगी।
Latest Sad Shayari For Boys In Hindi And English With Images
Sad Shayari Image for Girl

Bhooka piyasa khushk zuban se maanga tha jise,
Meri aankhon ko tar karne ki waja bana woh shaks.
भूखा प्यासा ख़ुश्क ज़ुबान से माँगा था जिसे,
मेरी आँखों को तर करने की वजह बना वह शख़्स।
Woh shaks manzil par ja kar kaise khush hoga,
Jis ne manzil hasil karte karte apna pasandida shaks ganwa diya ho.
वह शख़्स मंज़िल पर जाकर कैसे खुश होगा,
जिसने मंज़िल हासिल करते करते अपना पसंदीदा शख़्स गंवा दिया हो।

Ab kya dhoondte ho jalay kagaz ki raakh mein,
Woh afsana jal gaya jis ka anwan they tum.
अब क्या ढूँढ़ते हो जले काग़ज़ की राख में,
वह अफ़साना जल गया जिसका उनवान थे तुम।
Bas ak tu hi sabab toh nahi udasi ka,
Tarah tarah ke dilo ko malaal hote hain.
बस एक तू ही सबब तो नहीं उदासी का,
तरह तरह के दिलों को मलाल होते हैं।
Sad Shayari for Girl in English

Agar saalon baad bhi tum se yeh sawal ho,
Keh tumhein sab se ziyada kis na chaha,
Aur tumhare dil mein mera khayal aaye,
Toh samajh lena keh maine tumhein paa liya.
अगर सालों बाद भी तुमसे यह सवाल हो,
कि तुम्हें सबसे ज़्यादा किसने चाहा,
और तुम्हारे दिल में मेरा ख़याल आए,
तो समझ लेना कि मैंने तुम्हें पा लिया।
Tumhare baad ka toh khair kya kahein,
Tumhare sath bhi bahot dukha hai dil.
तुम्हारे बाद का तो ख़ैर क्या कहें,
तुम्हारे साथ भी बहुत दुखा है दिल।

Main lanat bhejti hoon har us shaks pe jis ne,
Kisi ka tawazun bigaar kar khud nai zindagi shuru kar li.
मैं लानत भेजती हूँ हर उस शख़्स पर जिसने,
किसी का तवाज़ुन बिगाड़ कर खुद नई ज़िंदगी शुरू कर ली।
Jis ki misaalein diya karta tha logon ko,
Jis ke naam se khud ko nikhara karta tha,
Meri nazaron se gira hai woh shaks,
Jiski main nazarein utara karta tha.
जिसकी मिसालें दिया करता था लोगों को,
जिसके नाम से खुद को निखारा करता था,
मेरी नज़रों से गिरा है वह शख़्स,
जिसकी मैं नज़रें उतारा करता था।
Sad Status Shayari for Girl

Humari wafadaari samajh nahi aaye gi abhi unhein,
Woh abhi guroor mein hain ke chahne wale bahot hain.
हमारी वफ़ादारी समझ नहीं आएगी अभी उन्हें,
वह अभी गुरूर में हैं कि चाहने वाले बहुत हैं।
Us ne kaha tha khuda ki qasam mujhe tum se mohabbat hai,
Haye woh ak shaks khuda ke naam par fareeb kar gaya.
उसने कहा था ख़ुदा की कसम मुझे तुमसे मोहब्बत है,
हाय वह एक शख़्स ख़ुदा के नाम पर फ़रेब कर गया।

Adhure se chand se fariyad toh karta hoga,
Woh mujhe ziyada nahi par yaad toh karta hoga,
Bahot masroof sehi woh din bhar phir bhi,
Tanhai ke kuch pal mere liye barbaad toh karta hoga.
अधूरे से चाँद से फ़रियाद तो करता होगा,
वह मुझे ज़्यादा नहीं पर याद तो करता होगा,
बहुत मशरूफ़ सही वह दिन भर फिर भी,
तन्हाई के कुछ पल मेरे लिए बर्बाद तो करता होगा।
Bahot koshish kar rahe hain keh sambhal ke rahein,
Lekin har roz hum khud pe zabt kho rahe hain.
बहुत कोशिश कर रहे हैं कि संभल कर रहें,
लेकिन हर रोज़ हम खुद पर ज़ब्त खो रहे हैं।
Sad Shayari for Alone Girl

Raatein pochti hain tum kiyun nahi sote,
Main kaise samajhao keh neend bhi uski mohtaj hai.
रातें पूछती हैं तुम क्यों नहीं सोते,
मैं कैसे समझाऊँ कि नींद भी उसकी मोहताज है।
Humne na milne wale shaks ki chahat mein,
Thukra di zamane bhar ki chahatein.
हमने न मिलने वाले शख़्स की चाहत में,
ठुकरा दी ज़माने भर की चाहतें।

Kuch dukhon ka mudawa nahi hota,
Kuch nuqsan zindagi bhar ke hote hain.
कुछ दुखों का मुदावा नहीं होता,
कुछ नुक़सान ज़िंदगी भर के होते हैं।
Jo humare rabton se jalte they unko batao,
Ab humare darmiyan kuch nahi bas dooriyan hain.
जो हमारे रिश्तों से जलते थे उनको बताओ,
अब हमारे दरमियान कुछ नहीं बस दूरियाँ हैं।
Very Sad Heart Broken Shayari for Girl

Ibadaton mein masroof hain sab aaj kal,
Dilo ko tod kar sajdon mein roya ja raha hai.
इबादतों में मशरूफ़ हैं सब आजकल,
दिलों को तोड़ कर सज्दों में रोया जा रहा है।
Humne choda hai bahot ko teri khatir,
Tujh se fasla shayad unki bad duaon ka asar hai.
हमने छोड़ा है बहुत को तेरी ख़ातिर,
तुझसे फ़ासला शायद उनकी बद्दुआओं का असर है।
Suno Larki
Mohabbat jis jagah ek dafa basera kar leti hai na
Woh jagah kabhi nahi chorti
Mohabbat ko apne thikane se bari mohabbat hoti hai
Yeh jo log kehte hain na ke
Falan ko pehle mujh se mohabbat thi ab nahi rahi
Aisa ho hi nahi sakta, kiyun ke mohabbat agar pehle thi aur ab nahi rahi
Toh iska matlab woh kabhi wahan thi hi nahi
Mohabbat itni aasani se kisi bhi dil mein nahi chali jati
Aur jis dil mein baith jati hai wahan se nahi uthti
Phir yeh aisi roh mein basti hai ke qabar tak sath jati hai.