Zindagi Dard Bhari Shayari | Painful Life Lines

Zindagi dard bhari shayari reflects the silent pain that life often hides behind a smile. It speaks to the sad hearts that have experienced loss and struggle. In moments when words fail to explain the depth of sorrow this form of poetry becomes a silent companion. Every line of dard bhari shayari on zindagi holds a story of broken dreams and emotional wounds. For those seeking comfort in words in melancholy this collection offers a soulful escape. Let each verse remind you that you are not alone in your pain and that sometimes poetry understands what people cannot.

Zindagi Dard Bhari Shayari

Zindagi Dard Bhari Shayari
Zindagi Dard Bhari Shayari

Zindagi mein baar baar sahara nahi milta,

Baar baar koi piyaar se piyaara nahi milta,

Hai jo paas usey sambhal ke rakhna,

Kho kar wo phir kabhi doubara nahi milta.

Zindagi har pal kuch khas nahi hoti,

Phoolo ki khushboo hamesha paas nahi hoti,

Milna humari taqdeer mein nahi tha varna,

Itni haseen mohabbat ittefaq se nahi hoti.

Zindagi Dard Bhari Shayari

Hum bahot hanste the zindagi ne aaj rona sikha diya,

Sab ke sath baithna acha lagta tha aaj akele rehna sikha diya,

Baatein karne ka shoq to bahot tha par,

Zindagi ne aaj chup rehna sikha diya.

Aye gardish-e-ayam humein ranj bahut hain,

Kuch khawab the jo bikharne ke nahi the,

Dukh ye hai ke mere Yousif-o-Qaqub ke khaliq,

Wo log bhi bichhade hain jo bichhadne ke nahi the.

Dard Bhari Shayari on Zindagi

Zindagi Dard Bhari Shayari
Zindagi Dard Bhari Shayari

Jab koi tumhari shiddat junoon-o-jazbat ko samajhne se,

Qasir ho aur usey tumhare hone ya na hone ka,

Ehsaas na ho to bina kisi shikwa shikayat ke,

Khamoshi ikhtiyar karo yehi isi ki saza hai.

Zindagi Dard Bhari Shayari

Zindagi mein chod jane walo ko apni zindagi mein,

Doubara wapis laney ke liye kabhi mat jhukein,

Apne raaste par khamohsi ke sath safar jari rakhein,

Apko jo chod gaye hain in se behtreen log milen gay.

Alfaz ka chunao soch samajh kar karein,

Jab aap baat kar rahe hote hain,

To aapke alfaz aapke khandan ka mizaaj aur,

Aapki tarbiyat ka pata de rahe hote hain.

Zindagi Dard Bhari Shayari

Kitabo ki khubi ye hai ke wo na qabil-e-yaqeen kahaniyan,

Is waqt sunati hain jab sunne ko dil chahta hai,

Insano ka mamla ajeeb hai wo baaz-o-auqat aisi,

Baatein karte hain ke guftgu jari rakhna mushkil ho jata hai.

Zindagi Par Dard Se Bhari Shayari

Jab bardasht khatam ho jati hai na,

Phir takleef gussa ban ke bahar aa jati hai,

Aur phir log pata hai kya kehte hain,

Badtameez ho gaye ho tum.

Zindagi Dard Bhari Shayari

Khushnuma hawaon se rabte badhane se chand tak jane ka raasta nahi jata,

Aansuo ki lali ko hath se mitane se gham ki taseer ka daagh bhi nahi jata,

Main bhi to nadan hoon uski khuwahish karta hoon jis taraf badhane se hath bhi nahi jata.

Maine logon ko parkha hai chahtein luta kar ke,

Waqt ko tabah kar ke sare haq ada kar ke,

Dard mein musibat mein aur is tamam,

Koshish mein apni zaat ko fana kar ke,

Aur phir ye jana log khush nahi hote.

Zindagi Dard Bhari Shayari

Kashti bhi nahi badli dariya bhi nahi badla,

Aur doubne walon ka jazba bhi nahi badla,

Hai shauq-e-safar aisa ak arsay se yaaro,

Manzil bhi nahi payi raasta bhi nahi badla.

Zindagi Pe Dard Shayari​

Apne gham ki numaish na kar apne naseeb ki azmaish na kar,

Jo tera hai tere paas khud aayega har rooz usey pane ki khuwahish na kar,

Taqeer badal jayegi apne aap hi aye insan muskurana sekh lay wajah talash na kar.

Zindagi Dard Bhari Shayari

Logon ke sath ko koi nahi tarasta log toh sirf chahat ke bhoke hote hain,

Jab chah na rahe toh isan khoni rishton se bhi milne se gureez karta hai.

Yeh jo zindagi ki kitab hai yeh kitab bhi kya kitab hai,

Kahin ak haseen khuwab hai kahin jaan leva azab hai,

Kahin rehmaton ki hain baarishein kahin tishnagi be-hisab hai,

Kahin chaon hai kahin dhoop hai kahin aur hi koi roop hai,

Kahin cheen leti hai har khushi kahin meherbani be-hisab hai,

Yeh jo zindagi ki kitab hai yeh kitab kya kitab hai.

Zindagi Dard Bhari Shayari

Jab insan apne andar majood hasti se guftgu karne lagta hai,

Toh bandon se baat karne mein kafi had tak kami aa jati hai,

Aise log magroor nahi hote bas khamosh ho jate hain.

Also Read: Painful 2 Line Sad Shayari In English | Piyaar Shayari

Related Articles

Latest Articles