Motivational shayari in hindi is a source of energy that helps you stay strong in difficult times. Every line of motivational shayari gives courage to face challenges and move forward. Life motivates you to dream big, achieve your destinations, and never give up. The beauty of hindi motivational thoughts and words makes each verse more powerful and heart touching. This shayari teaches that success begins with a strong belief and diligent effort. A world of motivation where every word brings hope and positivity to your mind and heart.
Motivational Shayari in Hindi for Students

किसमें हिम्मत है जो हमारी उड़ान में कमी लाए,
हम पंखों से नहीं हौसलों से उड़ा करते हैं।
Kis mein himmat hai humari parwaz mein laye kami,
Hum paron se nahi hoslon se uda karte hain.

हीरे को परखना है तो अंधेरे का इंतज़ार करो,
धूप में तो काँच के टुकड़े भी चमकते हैं।
Heere ko parakhna hai to andhere ka intezar karo,
Dhoop mein to kanch ke tukde bhi chamakte hain.

मंज़िल पर पहुँचना है तो काँटों से मत घबराना,
काँटे ही तो कदमों की रफ़्तार बढ़ा देते हैं।
Manzil pe pahunchna hai toh kaanton se mat ghabrana,
Kaante hi toh badha dete hain raftar qadmo ki.

ज़िंदा रहना है तो हालात से डरना कैसा,
जब जंग लाज़मी हो तो लश्कर नहीं देखे जाते।
Zinda rehna hai toh halaat se darna kaisa,
Jang lazim ho toh lashkar nahi dekhe jate.

मुश्किलें हार जाएँगी आपको हराते-हराते,
अगर आपने अपनी मंज़िल पाने की ठान ली तो।
Mushkilein haar jaye gi aap ko haraate haraate,
Agar aap ne apni manzil paane ki than li toh.
Motivational Thoughts in Hindi Shayari

अगर ज़िंदगी में कामयाब होना चाहते हो तो,
अपनी ज़िंदगी से अगर-मगर को निकाल दो।
Agar zindagi mein kamiyab hona chahte ho toh,
Apni zindagi se agar magar ko nikal do.

सपने वही सच होते हैं जो नींद को तोड़ देते हैं,
जो रातभर जागता है वही सूरज जैसा चमकता है।
Sapne wohi sach hote hain jo neend ko tod dete hain,
Jo raat bhar jagta hai wohi suraj jaisa chamakta hai.

अगर आप चाहते हो कि आपके ख़्वाब,
सच्चे हों तो पहले आपको जागना होगा।
Agar aap chahte ho keh aapke khuwab,
Sache hoon toh pehle aapko jagna hoga.

कहीं पर पहुँचने के लिए कहीं से,
शुरुआत करना बहुत ज़रूरी होता है।
Kahein par pahunchne ke liye kahein se,
Shuruwat karna bahot zaroori hota hai.

खुद पर यक़ीन होना कामयाबी की ज़मानत है,
मगर खुद को हमेशा सही समझने का,
यक़ीन इंसान को गुमराह कर देता है।
Khud par yaqeen hona kamiyabi ki zamanat hai,
Magar khud ko hamesha darust samajhne ka,
Yaqeen insan ko ghumrah kar deta hai.
Motivational Shayari in Hindi 2 Line

आम लोगों की ख़्वाहिशें और उम्मीदें होती हैं,
कामयाब लोगों के मक़सद और मंज़ूबे होते हैं।
Aam logon ki khuwahishaat aur umeedein hoti hain,
Kamiyab logon ke maqsad aur mansube hote hain.

समुंदर से डर कर कश्ती पार नहीं होती,
और कोशिश करने वालों की कभी हार नहीं होती।
Samandar se dar kar kashti paar nahi hoti,
Aur koshish karne walon ki kabhi haar nahi hoti.

तुम कर सकते हो तुम्हें करना भी चाहिए,
और अगर तुम्हारे अंदर ज़रा भी जुनून हुआ तो तुम कर के दिखाओगे।
Tum kar sakte ho tumhein karna bhi chahiye,
Aur agar tumhare andar thoda bhi junoon hua toh tum kar ke dekhao gay.

काम करने वालों की क़द्र करो,
कान भरने वालों की नहीं।
Kaam karne walon ki qadar karo,
Kaan bharne walon ki nahi.
Life Motivational Shayari in Hindi

बाप की दौलत पर घमंड करने का क्या मज़ा,
मज़ा तो तब है जब दौलत अपनी हो और फ़ख़्र बाप करे।
Baap ki daulat pe ghamand karne ka kiya maza,
Maza toh tab hai jab daulat apni ho aur fakhar baap kare.

वह शख़्स कामयाब नहीं हो पाता जिसमें,
नाकामी का डर कामयाबी की चाह से ज़्यादा हो।
Woh shaks kamiyab nahi ho pata jis mein,
Nakamai ka khouf kamiyabi ki chahat se ziyada ho.

अगर आप अपने मक़सद को पाने के लिए सख़्त मेहनत नहीं करते हैं,
तो जो आपको नहीं मिला उस पर ग़मगीन नहीं होना चाहिए।
Agar aap apne maqsad ko pane ke liye sakht mehnat nahi karte hain,
Toh jo aap ko nahi mila us par ghumgeen nahi hona chahiye.

सच बोलने का शौक़ है तो अपने बारे में बोलो,
लोगों की ज़िंदगी अज़ाब मत बनाओ।
Sach bolne ka shauq hai toh apne baare mein bolein,
Logon ki zindagi azab mat banayein.