Top 29 Motivational Shayari In English For Daily Inspiration

Motivational shayari in english gives you the strength to keep going when life feels tough. These motivate you that every challenge hides a new opportunity to grow and shine. Each piece of motivational shayari for students helps you believe in yourself and face every situation with confidence. It inspires positive thinking and fills your heart with hope and a sense of closure. Reading motivational shayari in english can refresh your mood and guide your thoughts toward success. You are a student chasing your dreams or someone looking for daily inspiration. This is where your dreams’ reality journey to self belief and motivation begins.

Motivational Shayari for Students in English

Zindagi badalne ke liye ladna padta hai,

Aur asan karne ke liye samajhna padta hai,

Waqt aapka hai chaho toh sona bana lo,

Aur chaho toh sone mein guzaar do.

Har kamiyab shaks ke paas ak takleef deh kahani hoti hai,

Aur takleef deh kahani ka anjaam kamiyabi hoti hai,

Is liye takleef ko bardasht karne ke liye,

Adat dalo aur kamiyabi ke liye tayyar ho jao.

Kamzoor insan gila karte hain keh halaat hi aise they,

Keh mere khuwab cheen gaye bahadar insan kehta hai,

Keh inhi halaat ne mujhe khuwab dekhne par majboor kar diya tha.

Ghum aur preshaniyan har ak ki zindagi ka hissa hain,

Bas jis ne apni preshani par qadam rakha woh jeet gaya,

Aur jis ne preshani ko sar par sawar kiya woh toot gaya.

Aap ke ikhlaq ki qadar bhi log us waqt karein gay,

Jab aap ke paas daulat aur taqat ho ghareeb kitna hi,

Khush ikhlaq ho log uske ikhlaq ko uski majburi samajhte hain.

Best Motivational Shayari in English

Preshan rehne se behtar hai koi masrofiyat talash kar lein,

Aur koi zimedari qabool karein kiyun ke masroof insan kam preshan hota hai.

Apni awaz ki bajaye apne dalail ko buland kijiye,

Phool badal ke garajne se nahi barasne se ugte hain.

Main apko kamiyabi ka tarika toh nahi bata sakta,

Lekin main apko nakami ka tarika bata sakta hoon,

Woh hai sab ko khush karne ki koshish karein.

Kamiyabi hasil karne ke liye aapko akele hi,

Aagay badhna padta hai log aapke sath tab,

Aate hain jab aap kamiyab ho jate hain.

Us din tak mehnat karo jab tumhara,

Signature ak autograph kehlaya jaye.

Motivational Shayari in Roman English

Tabdeeli asan nahi magar hamesha mumkin hoti hai,

Apni islah ke liye khud ko tabdeel karte raho.

Hum yeh jante hain hum kya hain,

Lekin hum yeh nahi jante hum kya ban sakte hain.

Wada karein keh na kahbi mehnat karna chodein gay,

Aur na hi khuwab dekhna tark karein gay kiyun ke,

Khuwab dekhne wala mehnati insan taraqi zaroor karta hai.

Tumhare khayal mein agar koi raaton raat kamiyab,

Ho gaya hai toh doubara gaur se dekho aisa bilkul bhi nahi.

Izzat kamana chahte ho toh jitna tumhare paas hai,

Us se kam dikhawa karo aur jitna ilm rakhte ho utna kam bolo.

Motivational Shayari in English on Life

Agar tum woh karte ho jo hamesha se karte aa rahe ho,

Toh tumhein wohi mile ga jo hamesha se milta aa raha hai.

Kuch bada karne ke liye kabhi kabhar,

Aapko bahot bade risk lene padte hain.

Apni soch aur simat ko darust rakhein,

Kamiyabi aapke qadam chume gi.

Agar zindagi mein aagay badhna hai toh,

Akele rehna, Akele ladna, aur akele jeena sekho,

Waqt padne pe yeh duniya kisi ki nahi banti.

Un par dhyan mat dijiye jo aapki peeth peeche baat karte hain,

Kiyun ke uska sedha sa matlab hai keh aap in se do qadam aagay hain.

2 Line Motivational Shayari in English

Kamiyabi ka safar aapki soch ki duniya badalne se shuru hota hai,

Aur baad mein aapki saari duniya badal kar rakh deta hai.

Agar aapko yaqeen hai keh kamiyabi mehnat se nahi,

Qismat se milti hai toh aap mehnat ke liye kabhi tayar,

Nahi hoon gay aur yeh yaqeen aapko nakaam kar de ga.

Koi kahe keh tum kamiyab nahi ho sakte ya toh wo khud,

Mehnat nahi karna chahta ya wo aapki kamiyabi se darta hai.

Apna haq hasil karne ke liye,

Taqatwar hona lazmi nahi gairat mand hona lazmi hai.

Bheed se hat kar kuch is tarah badhna hai,

Ke asman ko cho kar bhi zameen par chalna hai.

Inspiration Motivational Shayari in English​

Jo safar ikhtiyar karte hain wohi manzil ko paar karte hain,

Bas ak baar chalne ka hosla rakho aise musafiro ka toh,

Raaste bhi intezar karte hain.

Guzri hoi zindagi ko kabhi yaad na kar,

Taqdeer mein jo nahi uski fariyaad na kar,

Jo hoga woh ho kar hi rahe ga tu kal ki,

Fikar mein aaj ki hansi barbaad na kar.

Mat kar tamana kisi ko paane ki,

Badi bedard nigahein hain zamane ki,

Tu khud ko bana qabil is qadar ke,

Tamana karein log tujhe paane ki.


Bade saaste mein loot leti hai duniya usey,

Jise khud ki qimat ka andaza nahi hota.

Also Read: Wife Ke Liye Shayari – Husband Wife Love Shayari In 2025

Related Articles

Latest Articles