Friendship shayari in english is a heartfelt way to celebrate the bond of true companionship. Friends are like family we choose, and expressing those emotions through meaningful words. In good or difficult moments, the beauty of dosti shayari lies in its simplicity and emotional depth. These best friend shayari can bring a smile and heal a broken heart. If you want to strengthen your bond with your best friend, friendship shayari serves as the perfect medium. It combines emotions with a trust friend shayari charm, making every word feel personal for your loved ones.
Trust Friendship Shayari in English

Sachi dosti har dil ka noor hoti hai,
Khushiyon ka ak anmol tofa hoti hai.
Jo har mod par sath nibhaye,
Wohi dosti ki asli paribhasha hoti hai.

Jo dosti ke raaste pe khud ko bhool jaye wo dosti mazboot hoti hai.
Har dukh aur khushi mein jo sath de wohi dosti sachi hoti hai.

Jo dost har musibat mein sath khada ho,
Uska dosti mein koi mol nahi,
Sachi dosti ak hira hai jo har kisi ke paas nahi.

Kuch logon ki dosti mein hum is qadar kho gaye,
Beet gaye lamhe aur hum tasveerein lena bhool gaye.
Also Read: Best Dosti Shayari 2 Line In English For True Friends
Friendship Dosti Shayari in English​

Dosti ka matlab wohi samajhta hai jise sacha dost mila ho,
Yeh rishta zindagi ka sab se sundar tohfa hota hai.

Tum ban ke dost aise aaye zindagi mein,
Ke hum yeh zamana hi bhool gaye,
Tumhein yaad aaye na aaye humari kabhi,
Par hum toh tumhein bhulana hi bhool gaye.

Mazboot dosti ki pehchan yeh hai,
Keh dukh ke samay bhi ak muskan dete hain,
Har raat ko ak nayi subah banate hain.

Nazuk sa dil kabhi bhool se na toote,
Choti choti baaton se aap na ruthe,
Thodi si bhi fikar ho agar aapko humari,
Toh koshish karna ke yeh dosti humari kabhi na toote.
Shayari on Friendship in Roman English

Dosti ka rishta mazboot tab hota hai,
Jab lafzo ki zaroorat na ho,
Bas ak ehsaas ho jo dil tak pohnch jaye.

Din beet jate hain suhani yaadein ban kar,
Baatein reh jati hain kahani ban kar,
Par dost toh hamesha dil ke qareeb rahenge,
Kabhi muskan toh kabhi aankhon ka pani ban kar.

Mazboot dosti ak aisa bandhan hai jo har tufan ko paar kar jaye,
Har mod pe jo sath de wohi dosti ka asli ehsaas ban jaye.

Kash phir milne ki wajah mil jaye,
Sath jitna bhi bitaya woh pal mil jaye,
Chalo apni apni aankhein band kar le,
Kya pata khuwabo mein guzara hua kal mil jaye.
Shayari About Friendship in English​

Dosti achi tab hoti hai jab dooriyan bhi use tod na sake.
Har lamha jo yaadon mein rahe wahi rishta dil se juda rahe.

Jo har girne par sambhale aur har jeet pe gale lagaye.
Wo dosti true hoti hai jo har dil mein ghar banaye.

Aapki hansi humein bahot piyari lagti hai,
Aapki khushi humein humari lagti hai,
Door na karna humein kabhi khud se,
Aapki dosti humein jaan se bhi piyari lagti hai.

Achi dosti ka asli rang tab dikhta hai jab waqt bura ho.
Jo har waqt sath rahe wo ak sacha dost hai.
Friendship Shayari in English Language​

Ak dost ne dost se pocha dosti ka asli matlab kya hota hai,
Dost ne muskura kar jawad diya pagal ak dost hi toh hai,
Jiska koi matlab nahi hota aur jahan matlab ho wahan dosti nahi hoti.

Acha dost wo hota hai jo har baat bina kahe samajh le.
Har khuwab sach banaye aur har gham mita de.

Jo dost har qadam pe sath rahe uski dosti sachi hoti hai.
Rishta mazboot tab hota hai jab dil se dil ka rishta joda ho.

Dost hum ak dusre se bahot door hain,
Hum ziyada mil bhi nahi pate,
Is liye hum apka khayal nahi rakh sakte,
So please meri request hai tum se,
Keh tum apna khayal rakha karo,
Because tum mere liye bahot important ho.
Bestie Friendship Shayari in English​

Kon kehta hai dosti ki tumse humari judai hogi,
Yeh afwah zaroor kisi dushman ne udai hogi,
Shan se rahein gay tumhare dil mein hum,
Itne dino mein kuch toh jagah banai hogi.

Qarz dosti mein chukane nahi hote,
Ehsan dosti mein jatane nahi hote,
Bas salamat rahe yeh yarana humara,
Kiyun keh yeh rishte kabhi purane nahi hote.

Tum meri dost nahi balkeh mere dil ka sukoon ho,
Woh sukoon jo mujhe ird gird ke logon se nahi milta,
Tum door ho mujh se lekin mere dil mein basti ho,
Tum dost nahi meri himat ho, mera maan ho,
Mere liye Allah Pak ki taraf se bheji hoi ak badi naimat ho.