Relationships hurt the most when your own people turn selfish. Family matlabi rishte quotes are for those who have experienced betrayal from their loved ones. When problems arise in the family, you discover who truly stands by you and who does not. These matlabi rishte selfish family quotes in hindi express feelings you never shared with anyone. When matlabi family members use you for their benefit, it breaks your heart deeply. Here you will find quotes that understand your pain without judgment. Every quote comes from the experiences of people dealing with family problems and fake relatives. These words speak your truth about relationships that looked genuine but proved otherwise. No pretense, just honest reflections on what hurts when blood relations choose their interests over yours.
Family Matlabi Rishte Quotes Hindi English

Mujhe un logon se koi masla nahi jo mujhe pasand nahi karte,
Mujhe masla un se hai jo mujhe pasand karne ka dikhawa karte hain.
मुझे उन लोगों से कोई मसला नहीं जो मुझे पसंद नहीं करते,
मुझे मसला उनसे है जो मुझे पसंद करने का दिखावा करते हैं।

Matlab ka wazan bahot ziyada hota hai,
Is liye matlab nikalte hi rishte halke ho jate hain.
मतलब का वज़न बहुत ज़्यादा होता है,
इसलिए मतलब निकलते ही रिश्ते हल्के हो जाते हैं।
Matlabi rishte koyle ki manind hote hain,
Garam ho toh hath jalate hain,
Thande ho toh hath kale kar dete hain.
मतलबी रिश्ते कोयले की मानिंद होते हैं,
गरम हों तो हाथ जलाते हैं,
ठंडे हों तो हाथ काले कर देते हैं।
Ghalti zindagi ka ak page hota hai,
Lekin rishta ak puri kitab hota hai,
Is liye kabhi bhi puri kitab ko sirf,
Ak page ke liye nahi khona.
गलती ज़िंदगी का एक पन्ना होती है,
लेकिन रिश्ता एक पूरी किताब होता है,
इसलिए कभी भी पूरी किताब को सिर्फ,
एक पन्ने के लिए नहीं खोना।
Also Read: Matlabi Duniya Shayari In Hindi & Selfish Shayari Collection
Family Matlabi Rishte Quotes in Hindi

Rishte dil se bante hain baaton se nahi,
Kuch log bahot baaton ke baad bhi apne nahi hote,
Aur kuch khamoshi se apne ho jate hain.
रिश्ते दिल से बनते हैं बातों से नहीं,
कुछ लोग बहुत बातों के बाद भी अपने नहीं होते,
और कुछ ख़ामोशी से अपने हो जाते हैं।
Baaz auqat bahot kuch janne aur samajhne ke bawajood,
Sirf rishte ko qayim rakhne ke liye anjaan banna padta hai.
बाज़ औक़ात बहुत कुछ जानने और समझने के बावजूद,
सिर्फ रिश्ते को क़ायम रखने के लिए अनजान बनना पड़ता है।
Yunhi nahi aayi mere lehje mein yeh talkhi,
Rishton mein rawaiyon ka zahar chakha hai maine.
यूँ ही नहीं आई मेरे लहजे में यह तल्ख़ी,
रिश्तों में रवैयों का ज़हर चखा है मैंने।
Main toh un rishton ko bhi roya hoon,
Jo shayad darmiyan kabhi they hi nahi.
मैं तो उन रिश्तों को भी रोया हूँ,
जो शायद दरमियान कभी थे ही नहीं।
Matlabi Rishte Selfish Family Quotes in Hindi

Aaj kal ka sab se mushkil kaam,
Apnon mein se apnon ko dhoondhna.
आजकल का सबसे मुश्किल काम,
अपनों में से अपनों को ढूँढना।
Koi munafiqat sikhao mujhe,
Rishte nibha sako main bhi.
कोई मुनाफ़िक़त सिखाओ मुझे,
रिश्ते निभा सकूँ मैं भी।
Aaj kal toh rishtedaar in lakdiyon ki manind,
Ho chuke hain jo door hoon toh dhowan dete hain,
Aur sath ho jayein toh aag laga dete hain.
आजकल तो रिश्तेदार इन लकड़ियों की मानिंद,
हो चुके हैं जो दूर हों तो धुआँ देते हैं,
और साथ हो जाएँ तो आग लगा देते हैं।
Rishte ak dusre ka khayal karne ke liye hote hain,
Ak dusre ke istemal karne ke liye nahi.
रिश्ते एक दूसरे का ख़याल करने के लिए होते हैं,
एक दूसरे के इस्तेमाल के लिए नहीं।
Rishtedar Shayari Family Matlabi Rishte

Dil bharne ki deer hai bas,
Bahane mil hi jate hain.
दिल भरने की देर है बस,
बहाने मिल ही जाते हैं।
Jab rishte sache hoon toh ziyada sambhalne nahi padte,
Aur jin rishton ko sambhalna padey woh sache nahi hote.
जब रिश्ते सच्चे हों तो ज़्यादा संभालने नहीं पड़ते,
और जिन रिश्तों को संभालना पड़े वे सच्चे नहीं होते।
Kuch logon ke liye masroof zindagi se waqt nikalna padta hai,
Aur kuch log aise bhi hote hain jinhein dil se,
Nikalne ke liye zindagi ko masroof karna padta hai.
कुछ लोगों के लिए व्यस्त ज़िंदगी से वक़्त निकालना पड़ता है,
और कुछ लोग ऐसे भी होते हैं जिन्हें दिल से,
निकालने के लिए ज़िंदगी को व्यस्त करना पड़ता है।
Kuch rishton ko nibhane ke liye log,
Puri emandari se be emani karte hain.
कुछ रिश्तों को निभाने के लिए लोग,
पूरी ईमानदारी से बेईमानी करते हैं।
Parivar Family Problems Matlabi Rishte Quotes

Kuch logon ko izzat raas nahi aati jab tak,
Inke jaise na ban jao inko samajh nahi aati.
कुछ लोगों को इज़्ज़त रास नहीं आती जब तक,
उनके जैसे न बन जाओ उन्हें समझ नहीं आती।
Kabhi kabhi jo humein bewaqoof samajh rahe hote hain,
Darasal hum inki hoshyariyon ko nazar andaz kar rahe hote hain.
कभी कभी जो हमें बेवकूफ़ समझ रहे होते हैं,
दरअसल हम उनकी होशियारियों को नज़रअंदाज़ कर रहे होते हैं।
Munafiq logon se woh kuta behtar hai,
Jo samne bhonkta hai peeth peeche nahi.
मुनाफ़िक़ लोगों से वह कुत्ता बेहतर है,
जो सामने भौंकता है पीठ पीछे नहीं।
Jab baat zaroorat ki ho toh,
Zuban sab ki meethi ho jati hai.
जब बात ज़रूरत की हो तो,
ज़ुबान सब की मीठी हो जाती है।
Ghamand Shayari Hindi Family Matlabi Rishte

Ek matlabi day bhi hona chahiye,
Mere paas bahot log hain wish karne ko.
एक मतलबी डे भी होना चाहिए,
मेरे पास बहुत लोग हैं विश करने को।
Bahot smart ho gaye hain log,
Rishte wahi tak rakhte hain jahan tak matlab hota hai.
बहुत स्मार्ट हो गए हैं लोग,
रिश्ते वहीं तक रखते हैं जहाँ तक मतलब होता है।
Bhula deinge hum tujhe thoda sabar toh kar,
Teri tarah matlabi hone mein thoda waqt toh lagy ga.
भुला देंगे हम तुझे थोड़ा सब्र तो कर,
तेरी तरह मतलबी होने में थोड़ा वक़्त तो लगेगा।
Hisab rakha karo aaj kal log pochte hain,
Kya kiya hai tu ne mere liye.
हिसाब रखा करो आजकल लोग पूछते हैं,
क्या किया है तूने मेरे लिए।
Also Read: Soulful Narazgi Shayari To Express Your Hidden Pain