Friendship Dosti Shayari In 2025 | Piyaar Shayari

Friendship dosti shayari is a timeless way to express emotions in a style that touches the heart. Many people search for dosti shayari in roman english to share their feelings with friends in an easy and relatable form. Beautiful lines of dosti ke upar shayari remind us of loyalty support and the value of true relationships. When emotions go deeper gehri dosti shayari becomes a perfect way to highlight the strength of friendship. Some verses also combine feelings of love and care which makes dosti mohabbat shayari very meaningful. For every occasion there is always dosti ke liye shayari that connects friends with words full of warmth and trust. Through these verses friendship becomes more memorable and relationships grow even stronger.

Dosti Shayari in Roman English​

Dosti Shayari
Dosti Shayari

Qimat pani ki nahi piyas ki hoti hai,

Qimat mout ki nahi saans ki hoti hai,

Dost toh bahot hote hain duniya mein magar,

Qimat dosti ki nahi atibar ki hoti hai.

Samandar na ho toh kashti kis kaam ki,

Mazaq na ho toh masti kis kaam ki,

Zindagi qurban hai dosto ke liye,

Dost na ho toh zindagi kis kaam ki.

Dosti Shayari

Aankhon ki chamak palkon ki shan ho tum,

Chehre ki hansi labon ki muskan ho tum,

Dhadkta hai dil bas aapki aarzo mein,

Phir kaise na kahon meri jaan ho tum.

Ajeeb si dastan hoti hai dosti ki milne se ziyada ladna acha lagta hai,

Manane wale bhi hote hain kuch aur kuch ko chidana acha lagta hai,

Doston ke munn se kuch sunne ke liye kabhi jhuk jana acha lagta hai,

Safar train ka ho ya zindagi ka doston mein baith kar muskurana acha lagta hai,

Dost mile toh lagta hai mil gayi duniya baqi sab kuch bhool jana acha lagta hai,

Dua hai keh hum hamesha ak sath rahein yaaro tumhare sath jeena acha lagta hai.

Dosti Shayari

Dosti ka tohfa har kisi ko nahi milta,

Yeh woh phool hai jo har bagh mein nahi khilta,

Iss phool ko kabhi tootne mat dena,

Kiyun toota hua phool phir nahi khilta.


Kabhi din toh kabhi raat hogi meri har dua tere naam hogi,

Kabhi maang ke dekh lena aye dost hothon pe hansi aur hatheli pe jaan hogi.

Also Read: Best Friend Shayari In Hindi Filled With Love And Trust

Dosti Ke Upar Shayari

Dosti Shayari

Meri dosti ke saare ehsaas lay lo,

Dil se piyar ke saare jazbat lay lo,

Nahi chodein gay hum sath tumhara,

Chahe is dosti ke hazaron imtihan lay lo.

Dosti Shayari

Kuch dost mehsoos bhi nahi hone dete keh woh khud kin halaat se guzar rahe hain,

Aap jab inko pukaro gay woh aapke sath aapka saya ban kar mojood rahein gay,

Qadar kijiye aise dosto ki har insan ki qisamt mein aise dost nahi hote.

Dost zindagi mein do logo se hamesha door rehna,

Ak busy log aur dusre ghamandi logo se,

Kiyun ke busy log apni marzi baat karen gay,

Aur ghamandi log apne matlab se baat karen gay.

Dosti Shayari

Jo karte hain dosti woh kabhi toda nahi karte,

Dete hain jaan magar azmaya nahi karte,

Har haal mein rakhte hain dosti ka bharam,

Kisi ke kehne par chod jaya nahi karte,

Ak baar jo kar lete hain wada nibhane ka,

Sholon pe chal ke aa jate hain ghabraya nahi karte.


Teri dosti ne bahot kuch sikha diya meri khamosh si duniya ko jaise hansa diya,

Karzdaar hoon main us khuda ka jis ne mujhe tere jaise dost se mila diya.

Also Read: Friendship Shayari In English For Bestie Ke Liye Shayari

Dosti Mohabbat Shayari

Log surat dekhte hain hum sirat dekhte hain,

Log khuwab dekhte hain aur hum haqeeqat dekhte hain,

Bas farq itna hai keh log duniya mein dost rakhte hain,

Aur hum dost mein duniya rakhte hain.

Dosti Shayari

Dost ak kitab ki tarah hota hai,

Woh kitni hi purani ho jaye par is ke alfaz nahi badalte,

Kabhi yaad aye toh warq palat kar dekhna,

Hum kal jaise they aaj bhi waise hain.

Nadiyon ki dosti samadar se hai baadal ki dosti anbar se hai,

Chand ki dosti sitaro se hai bagho ki dosti baharon se hai,

Phoolo ki dosti khusbo se hai umeedon ki dosti dil se hai,

Aur humari dosti sirf aap se hai.

Dosti Shayari

Zindagi har pal khas nahi hoti,

Phoolo ki khushbo hamesha paas nahi hoti,

Milna humari taqdeer mein likha tha warna,

Itni piyaari dosti ittefaq nahi hoti.


Hum akhri saans tak yaar tere hain dil par saare ikhtiyar tere hain,

Tum aao toh neend nahi aati neend aye toh saare khuwab tere hain.

Dosti Ke Liye Shayari

Ek dusre ka khayal rakhna ek dusre ko samajh pana,

Ek dusre ko important feel karwana bahot ladai karna,

Phir bhi ek dusre ke bina nahi reh pana Dosti hai.

Dosti Shayari

Kisi ke liye dosti saza ban jati hai,

Kisi ke liye dosti maza ban jati hai,

Par jo log dil se dosti karte hain,

Unke liye dosti jeene ki wajah ban jati hai.

Teri kami bhi hai tera ehsaas bhi hai,

Tu door bhi hai mujh se aur paas bhi hai,

Khuda ne yun nawaza teri dosti se mujh ko,

Khuda ka shukar bhi hai aur khud pe naaz bhi hai,

Waise toh duniya mein bahot se dost hain,

Magar tu sab se piyara bhi hai aur khas bhi hai.

Tere har ak dard ka ehsaas hai mujhe,

Teri meri dosti par bahot naaz hai mujhe,

Qayamat tak na bichhdenge hum do dost,

Kal se bhi ziyada bharosa aaj hai mujhe.


Dosti naam hai sukh dukh ki kahani ka dosti raaz hai sada muskurane ka,

Yeh koi pal bhar ki pehchan nahi yeh wada hai umar bhar sath nibhane ka.

Read Also: Best Dosti Shayari 2 Line In English For True Friends

Gehri Dosti Shayari​

Dosti Shayari

Muskan ka koi mool nahi hota,

Kuch rishto ka koi tol nahi hota,

Dost toh mil jate hain har raaste par,

Lekin har koi aapki tarah anmol nahi hota.

Zamane se kab ke hum guzar gaye hote,

Thokar na lagi hoti bach gaye hote,

Bandhe they toh bas tere dosti ke dhage mein,

Varna kab ke motiyun jaise bikhar gaye hote.

Saalon baad na jane kya sama hoga,

Hum sab dosto mein se na jane kon kahan hoga,

Milna hua toh phir mile gay khuwabo mein,

Jaise sukhe ghulab milte hain kitabo mein.

Dosti Shayari

Ishq aur dosti mere do jahan hain,

Ishq meri roh toh dosti mera eman hai,

Ishq par toh fida kar du apni sari zindagi,

Magar dosti par toh mera ishq bhi qurban hai.


Nazar andaz kaise kare aapko nazaron mein baithaya hai aapko,

Yaad aane par roye bhi toh kaise darte hain jhuki jo palke toh chubhengi aapko.


Waqt guzare ga hum bikhar jayenge kon jane hum kidhar jayenge,

Hum dosti ki parchai hai jahan aap hue tanha wohi hum nazar ayenge.


Duri ho toh ehsaas hota hai dost ke bina jeevan kitna udas hota hai,

Umar ho aapki sitaro jitni lambi aisa dost kahan kisi ke paas hota hai.

Read Also:

1: Top 15 Dosti Shayari In Hindi For Yaari Moments

2: Beautiful Friendship Shayari In Hindi To Celebrate Dosti

Related Articles

Latest Articles