Damdar dosti shayari is the strongest way to express the value of sachi friendship. Ever simple messages are not enough to describe a strong bond. In such moments, meaningful dosti shayari and heartfelt friendship shayari in english help share emotions in a better way. These damdar shayari capture loyalty, trust, and the memories that friends build together. Many people look for the best friend shayari when they want to appreciate a close companion. Well-written emotional dosti shayari can say a lot in just a few words. You will read thoughtful lines that reflect true friendship and help you share your feelings with someone important.
Shayari on Damdar Dosti

Kuch dost dost nahi,
Dil ka sukoon hote hain.
कुछ दोस्त दोस्त नहीं,
दिल का सुकून होते हैं।
🤝🔥❤️
Har koi mera dost nahi lekin mere,
Dost jaisa kisi ka dost nahi.
हर कोई मेरा दोस्त नहीं लेकिन मेरे,
दोस्त जैसा किसी का दोस्त नहीं।
🤝🔥❤️
Na mile kisi ka sath toh humein yaad karna,
Agar tanhai mehsoos ho toh humein yaad karna,
Khushiyan bantne ke liye dost hazar rakhna,
Jab gham bantna ho toh humein yaad karna.
ना मिले किसी का साथ तो हमें याद करना,
अगर तन्हाई महसूस हो तो हमें याद करना,
खुशियां बांटने के लिए दोस्त हजार रखना,
जब ग़म बांटना हो तो हमें याद करना।
🤝🔥❤️
Teri meri dosti itni khas ho keh duniya kahe,
Kash aisa dost mere paas ho.
तेरी मेरी दोस्ती इतनी खास हो कि दुनिया कहे,
काश ऐसा दोस्त मेरे पास हो।
🤝🔥❤️
Jab main apne doston ko yaad karta hoon,
Toh mujhe apni asal khushiyan yaad aati hain.
जब मैं अपने दोस्तों को याद करता हूँ,
तो मुझे अपनी असल खुशियां याद आती हैं।
Damdar Dosti Shayari in English

Dosti woh nahi jo har roz nazar aaye,
Dosti woh hai jo mushkil mein yaad aaye.
दोस्ती वो नहीं जो हर रोज़ नज़र आए,
दोस्ती वो है जो मुश्किल में याद आए।
🤝🔥❤️
Sharifon mein koi chor nahi hota,
Khawabon mein koi aur nahi hota,
Library mein koi shor nahi hota,
Aur hum se jo kare dosti woh,
Life mein kabhi boor nahi hota.
शरीफों में कोई चोर नहीं होता,
ख्वाबों में कोई और नहीं होता,
लाइब्रेरी में कोई शोर नहीं होता,
और हम से जो करे दोस्ती वो,
लाइफ में कभी बोर नहीं होता।
🤝🔥❤️
Tumhari har awaz par aao ga,
Tum bas itna kehna mujhe tumhari zaroorat hai.
तुम्हारी हर आवाज़ पर आऊँगा,
तुम बस इतना कहना मुझे तुम्हारी ज़रूरत है।
🤝🔥❤️
Mujhe teri awaz se bhi ishq hai mere dost,
Tu zara soch mere dil mein tera kya maqam hoga.
मुझे तेरी आवाज़ से भी इश्क है मेरे दोस्त,
तू ज़रा सोच मेरे दिल में तेरा क्या मुकाम होगा।
🤝🔥❤️
Udas mat raha kar hum se bardasht nahi hota mere dost,
Hum toh apne gham bhula dete hai ak tumhein khush dekh kar.
उदास मत रहा कर हम से बर्दाश्त नहीं होता मेरे दोस्त,
हम तो अपने ग़म भुला देते हैं एक तुम्हें खुश देख कर।
Shayari on Dosti Urdu Text Copy and Paste

Teri dosti ki wajah se meri zindagi mein ronaq hai,
Is liye mere dost hum apni nahi teri zindagi ki dua karte hai.
तेरी दोस्ती की वजह से मेरी ज़िंदगी में रौनक है,
इस लिए मेरे दोस्त हम अपनी नहीं तेरी ज़िंदगी की दुआ करते हैं।
🤝🔥❤️
Hum mar bhi gaye toh humari yaadein tumse wabasta rahe gi dost,
Yeh mat samajhna tumhein dost banaya hai sirf waqt guzari ke liye.
हम मर भी गए तो हमारी यादें तुमसे वाबस्ता रहेंगी दोस्त,
ये मत समझना तुम्हें दोस्त बनाया है सिर्फ वक़्त गुज़ारी के लिए।
🤝🔥❤️
Mere dost dua hai keh teri zindagi mein koi gham na rahe,
Agar tere gham ki wajah hum hai toh khuda kare hum na rahe.
मेरे दोस्त दुआ है कि तेरी ज़िंदगी में कोई ग़म न रहे,
अगर तेरे ग़म की वजह हम हैं तो खुदा करे हम न रहें।
🤝🔥❤️
Tum se mohabbat hai is liye kuch nahi kehta mere dost,
Warna logon se pocho kis qadar pathar dil hai aapka dost.
तुम से मोहब्बत है इस लिए कुछ नहीं कहता मेरे दोस्त,
वरना लोगों से पूछो किस क़दर पत्थर दिल है आपका दोस्त।
🤝🔥❤️
Ya Allah Pak mere dost ko woh kamiyabi aata karna,
Jis kamiyabi ke uski Maa khawab dekhti hai.
या अल्लाह पाक मेरे दोस्त को वो कामयाबी अता करना,
जिस कामयाबी के उसकी माँ ख़्वाब देखती है।
Damdar Dosti Shayari in Hindi

Dost woh hai jo dua mein yaad rahe,
Tum bhi inhi mein se ho meri jaan.
दोस्त वो है जो दुआ में याद रहे,
तुम भी इन्हीं में से हो मेरी जान।
🤝🔥❤️
Dosti bhi zaroori hai zindagi mein janab,
Aadhi raat ko anso pochne mehboob nahi aate.
दोस्ती भी ज़रूरी है ज़िंदगी में जनाब,
आधी रात को आँसू पोंछने महबूब नहीं आते।
🤝🔥❤️
Ab tumhari is tarif mein kya likhon mere dost,
Meri is murjhai hoi zindagi mein gulab ho tum.
अब तुम्हारी इस तारीफ में क्या लिखूं मेरे दोस्त,
मेरी इस मुरझाई हुई ज़िंदगी में गुलाब हो तुम।
🤝🔥❤️
Mere paas bhi ak aisa dost hai,
Jis ki jagah papa ki pari bhi nahi le sakti.
मेरे पास भी एक ऐसा दोस्त है,
जिस की जगह पापा की परी भी नहीं ले सकती।

Dost tum woh shaks ho jo mujhe mere kai,
Khoni rishton se bhi ziyada piyare ho.
दोस्त तुम वो शख्स हो जो मुझे मेरे कई,
खूनी रिश्तों से भी ज़्यादा प्यारे हो।
FAQs
दमदार दोस्ती शायरी क्या है?
Damdar dosti shayari woh shayari hoti hai jo dosti ki taqat, wafadari, ak dusre ko samajhna aur sache jazbaat ko mazboot alfaaz mein bayan kare. Is tarah ki shayari choti toh hoti hai lekin uska asar bahot gehra hota hai. Yeh aksar sache dost ki ahmiyat aur mushkil waqt mein sath dene ko khubsurti se dikhati hai.
बेस्ट फ्रेंड पर दो लाइन कौन सी है?
Ache dost ke liye ek simple si 2 line dosti shayari yeh hai:
Dosti ka rishta sab se khas hota hai,
Sacha dost har pal dil ke paas hota hai.
दोस्ती के लिए सबसे अच्छी लाइन कौन सी है?
Dosti ke liye ek achi line yeh ho sakti hai:
Sacha dost woh hota hai jo mushkil waqt mein bhi sath khada rahe, aur kabhi bhi humara bharosa na tode.
दोस्ती के लिए सबसे अच्छा संदेश क्या है?
Dosti ka sab se acha paigham woh hota hai jo dil se nikle aur dost ko apni ahmiyat ka ehsaas dilaye. Jiase zindagi mein bahot log milte hain, lekin sache dost bahot kam milte hain. Tum unhi khas logon mein se ho. Yehi paigham dosti ke liye hai.
सच्ची दोस्ती का क्या अर्थ है?
Sachi dosti ka matlab hota hai bharosa, wafadari aur bina kisi matlab ke bina soche samajhe sath dena. Sacha dost har haal mein sath nibhata hai, chahe waqt acha ho ya bura.