Boys attitude shayari is more than just a collection of words. It reflects personality self self-confidence and bold thinking. It is the fearless spirit and unique charm of poetry that defines a man individuality. Whether it is about expressing pride or showing strength, these lines carry a powerful vibe. From subtle hints of determination to strong declarations of self-worth, attitude shayari inspires. It is a way to speak without explaining and to convey emotions without being overly dramatic. This style of boys’ shayari lets every boy share his mindset with style and impact.
Boys Attitude Shayari in English

Woh gali bhi mujhe de toh main son ke zabt karta hoon,
Mere dushman samajhte hain mujhe gussa nahi aata,
Mere ghar ke bade aksar mujhe yeh dars dete hain,
Keh kuta kaat bhi lay toh usey kata nahi jata.

Badi asani se nikal dete hain log dusro mein aeib,
Jaise unka dil nekiyun ka nawab hai,
Apne gunaho par soo parde daal kar,
Log khud kehte hain zamana kharab hai.

Khamoshi ka matlab lihaz hota hai,
Log isey kamzoori samajh lete hain.

Itna shiddat pasand hoon keh chod toh sakta hoon par bant nahi sakta,
Chahe cheezein hoon ya insan bas jo mera hai woh mukamal mera hi hai,
Aur jo thoda sa bhi kisi aur ka hai woh mujhe chahiye hi nahi.
Boys Attitude Status in English

Ak kahawat hai keh sab se upar jana hai toh bahot sari mehnat chahiye,
Lekin agar sab se upar tikna hai toh Maa ki dua chahiye.

Apne dil ko itna mazboot bana lo ke andar,
Kehraam bhi macha ho toh kisi ko khabar na hone paye,
Tum kya umeed lagaye baihte ho keh kanch ka dil lay kar,
Chalo gay aur log patharao bhi nahi karein gay.

Bewaja rabto ka bojh hum nahi uthate,
Humein bas wohi yaad rehte hain jo humein yaad karte hain.

Shoor lehron ki adat hoti hai aur khamoshi chatano ki taqat,
Lehrein awaz toh bahot karti hain magar chatano se takra kar toot jati hain.
Attitude Status in English for Boys

Mera nafsiyati masla hai keh main jaldi kisi ko chod nahi deta,
Lekin jab main kisi ko chod deta hoon toh phir had kar deta hoon.

Itni jaldi himmat hara nahi karte jo log mehnat se kinara nahi karte,
Pehle apni himmat ka toh imtehan lay yunhi be-waja kisi ko pukara nahi karte,
Jin ke dil-o-zuban tar hoon muhabbat se woh kabhi nafrat ki taraf ishara nahi karte,
Bahadari toh yeh hai keh tu samna kar musibaton ka ghamo ke dar se maut ko pukara nahi karte.

Main zindagi private rakhta hoon,
Aur jab log mujhe janne ka dawa karte hain,
Tab woh nahi jante keh woh utna hi jante hain,
Jitna main janta hoon.

Khandani ghamand hai baite,
Baap ke ilawa in aankhon mein kisi ka khauf aa jaye,
Itni kisi ki auqat nahi bhi hai.
Attitude Shayari for Boys in English​

Dhoke se paida hone wali aurat hi dhoka deti hai,
Khandani aurat halaat badalti hai mard nahi.

Zinda rehne ke liye apne siva kisi aur ka hona bilkul zaroori nahi,
Aadmi jin ke sath jeena chahta hai in ke bina bhi jee sakta hai.

Mujhe had mein rehna pasand hai,
Aur log isey guroor samajh lete hain,
Hum woh hain jo bolte kam aur karte ziyada hain.

Koi sath ho ya na ho kya farq padta hai,
Pehle bhi zindagi behtar thi,
Aur abhi bhi ak dam mast chal rahi hai.
Killer Boys Attitude Shayari​

Logon ka bas nahi chalta varna,
Raaste mein chalte logon ko rok kar,
Kahen ke hum tum se behtar hain.

Ab humein wohi karna hai jo dil ko pasand hai,
Agay jo hoga dekha jaye ga.

Waqt ke sath kuch aadatein badali hain,
Mayar aaj bhi wohi hai burey kal bhi nahi the,
Aur shareef aaj bhi nahi hain.

Bachpan se lay kar aaj tak har cheez zid par hasil ki hai,
Chal kamiyabi tayar ho jao agli baari teri hai,
Ab sirf kamiyabi reh gayi hai aur main.