Touching Maa Ke Liye Shayari 2 Line To Melt Hearts

Maa ke liye shayari 2 line is a strong way to express love respect and gratitude for a mother. These shayari captures powerful emotions in a few words making it ideal for heartfelt messages. Through maa ke liye shayari in english helps feelings clearly while maintaining emotional universal understanding.

Maa Ke Liye Shayari 2 Line in English

Maa Ke Liye Shayari 2 Line
Maa Ke Liye Shayari 2 Line

Yeh aisa karz hai jo main ada kar hi nahi sakta,

Mein jab tak ghar nahi lotoun meri maa sajde mein rehti hai.


Is tarah mere gunahon ko woh dho deti hai,

Maa bahot gusse mein hoti hai toh ro deti hai.


Bazaar mein har cheez mil jati hai lekin maa baap ka piyaar nahi milta,

Jin ki maa nahi hoti unhein ghar aane par darwaza khula nahi milta.


Ak muddat se meri maa nahi soi Ali,

Main ne ak baar kaha that mujhe dar lagta hai.

Maa Ke Liye 2 Line Shayari​

Maa Ke Liye Shayari 2 Line
Maa Ke Liye Shayari 2 Line

Dil toot gaya hai maa se juda ho kar,

Jaise shakh ho gayi ho darakht se be khabar.


Rok leta hai balaon ko wo apne upar,

Maa ka aanchal mujhe Jibreel ka par lagta hai.


Aankhon mein piyaar seene mein samandar,

Maa hai toh hai jahan jannat ka manzar.


Jannat ka har nazara meri maa ki ankhon mein hai,

Duniya ki har daolat meri maa ke qadmon mein hai.

Maa Shayari 2 Lines

Maa Ke Liye Shayari 2 Line
Maa Ke Liye Shayari 2 Line

Mere hothon pe jo hansi hai yeh teri duaon ka sila hai,

Meri har khushi mein meri maa tera piyaar hi toh chupa hai.


Teri ungli pakad ke chala tha main bachpan mein,

Aaj bhi teri duaon ke sahare hi toh jeevan hai.


Dhoop mein jab badan jhulasta hai teri aanchal ki chaya dhoondhta hoon,

Har mushkil ghadi mein maa tera sahara dhoondhta hoon.


Jab bhi kashti meri tufan mein ghir jati hai,

Meri maa ki duaon se sahil mil jata hai.

Maa Par 2 Line Shayari​

Maa Ke Liye Shayari 2 Line
Maa Ke Liye Shayari 2 Line

Jab bhi main thak ke chalta hoon teri godh yaad aati hai,

Sari duniya bhool jaun main teri mamta yaad aati hai.


Kabhi maangi na koi jannat maine,

Mera to jahan meri maa ki bahon mein hai.


Meri har jeet mein teri dua shamil hai maa,

Tere bina to meri har koshish bhi adhuri hai maa.


Duniya ki bheed mein bhi tanha na raha main,

Meri maa ki duaon ka saya tha har dam mere sath.

2 Line Maa Shayari​

Maa Ke Liye Shayari 2 Line
Maa Ke Liye Shayari 2 Line

Meri zuban pe jo pehla haraf aaya woh tera naam tha maa,

Meri zindagi ki har ibtida tere piyaar ka paigham tha maa.


Maa ke hathon mein hai shifa har marz ki,

Uski duaon mein hai taqat har mushkil se ladne ki.


Maa tere qadam jahan bhi padey wo zameen jannat ban jaye,

Teri duaon ki barkat se har mushkil asan ho jaye.

Maa Ke Liye Shayari 2 Line
Maa Ke Liye Shayari 2 Line

Maa tere piyaar ki chaya hamesha rahe mujh par,

Tere bina to main ak tanha sa musafir.

Visit Our Facebook Page

Related Articles

Latest Articles