Islamic shayari in hindi is the teachings of islam, deep faith, and love for Allah. Many poets have read this islamic poetry to reflect spirituality, patience, mercy, and devotion. Each verse carries a peaceful message that connects the heart with Allah. This type of deeni quote writing is often found in islami baatein, islam ki shayari, and spiritual islamic verses. In our blog, we bring you a thoughtful collection of islamic shayari in urdu. You can inspire your soul and strengthen your faith. Read these lines with an open heart and choose the verses that touch you the most.
Islamic Dua Shayari in Hindi

इश्क-ए-नबी से पहले ये सीने का हाल था,
जैसे नबी से पहले मदीने का हाल था।
Ishq-e-Nabi se pehle yeh seene ka haal tha,
Jaise Nabi se pehle madine ka haal tha.

अल्लाह पाक का ख़ौफ़ इंसान को इतना नहीं रुलाता,
जितना अल्लाह पाक की मोहब्बत रुला देती है।
Allah Pak ka khof insan ko itna nahi rulata,
Jitna Allah Pak ki muhabbat rula deti hai.

किसी ने कहा था लोगों को मिला है तो मुक़द्दर से मिला है,
हमें तो मुक़द्दर भी तेरे दर से मिला है।
Kisi ne kaha tha logon ko mila hai toh muqadar se mila hai,
Hum ko toh muqadar bhi tere dar se mila hai.

जो मिल रहा है वही तुम्हारे लिए बेहतर है,
तुम नहीं जानते लेकिन देने वाला खूब जानता है।
Jo mil raha hai wohi tumhare liye behtar hai,
Tum nahi jante lekin dene wala khub janta hai.

ये दुनिया चाहे तुम्हें जो भी बनने का मौका दे,
सबसे बेहतर है कि तुम रहमदिल बनो।
Yeh duniya chahe tumhein jo bhi banne ka moqa de,
Sab se behtar hai keh tum reham dil bano.
Islamic Shayari in Hindi 2 Line

जल्द ही तुम्हें अंदाज़ा होगा कि,
अल्लाह ने तुम्हें इतना क्यों आज़माया था।
Jald hi tumhein andaza hoga keh,
Allah ne tumhein itna kiyun aazmaya tha.

तेरी दुनिया के लोग बहुत बेख़ौफ़ हैं या रब,
किसी का बुरा ऐसे करते हैं जैसे तू देखता ही नहीं।
Teri duniya ke log bahot be khof hain Ya Rab,
Kisi ka bura aise karte hain jaise tu dekhta hi nahi.

हर वो शख़्स बेवफ़ा है जो नमाज़ की पाबंदी नहीं कर सकता,
क्योंकि जो अल्लाह का नहीं हो सकता वो तुम्हारा क्या होगा।
Har woh shaks bewafa hai jo namaz ki pabandi nahi kar sakta,
Kiyun ke jo Allah ka nahi ho sakta woh tumhara kya hoga.

नीयत साफ़ हो तो रास्ते खुद बन जाते हैं,
क्योंकि अल्लाह नीयतों को देखता है अल्फ़ाज़ को नहीं।
Niyat saaf ho toh raaste khud ban jate hain,
Kiyun ke Allah niyaton ko dekhta hai alfaz ko nahi.

अल्लाह तआला ने कभी नहीं कहा कि जिंदगी आसान होगी,
अल्लाह तआला ने फ़रमाया मैं सब्र करने वालों के साथ हूँ।
Allah Ta‘ala ne kabhi nahi kaha keh zindagi aasan hogi,
Allah Ta‘ala ne farmaya main sabar karne walon ke sath hoon.
Islamic Hindi Shayari in English

राज़-ए-मोहब्बत है कि जिससे खुदा मुलाकात करना चाहे,
उसे फिर दर्द देकर तहज्जुद में झुकाया जाता है।
Raaz-e-muhabbat hai keh jis se khuda ne mulaqat karni ho,
Usko phir dard de kar tahajjud mein jhukaya jata hai.

अपने बारे में ख़ैर के सिवा कुछ मत कहो,
क्योंकि जो कुछ तुम कहते हो फ़रिश्ते उस पर आमीन कहते हैं।
apne baarey mein khair ke siwa kuch na kaho,
kiyun ke jo kuch tum kehte ho farishte us par ameen kehte hain.

वह सुनता है सबकी दुआ तुम करके तो देखो,
अपने नसीब आज़मा कर तो देखो।
Woh sunta hai sab ki dua kar ke toh dekho,
Tum apne naseeb aazma kar toh dekho.

ज़िंदगी जिसे कहते हैं चार दिनों की बात है,
बस हमेशा रहने वाली सिर्फ़ ख़ुदा की ज़ात है।
Zindagi kehte hain jin ko chaar din ki baat hai,
Bas hamesha rehne wali ek khuda ki zaat hai.

गुनाह गिनकर मैं क्यों अपने दिल को झूठा करूँ,
सुना है तेरे करम का कोई हिसाब नहीं।
Gunah gin ke main kiyun apne dil ko jhoota karon,
Suna hai tere karam ka koi hisab nahi.
Islamic Peaceful Shayari in Hindi

खुदा से माँग जो भी माँगना है,
यही वह दर है जहाँ सवाल के बाद ज़िल्लत नहीं होती।
Khuda se maang jo kuch mangna hai,
Yehi woh dar hai keh zilat nahi sawal ke baad.

और तक़दीर अल्लाह के इशारे पर बदल जाती है,
तुम यक़ीन रखो वह बेहतर लेकर बेहतरीन देगा।
Aur taqdeer Allah ke ishare par badal jaya karti hai,
Tum yaqeen toh rakho woh behtar le kar behtreen de ga.

अल्लाह के हर फैसले में हमारी भलाई होती है,
इसलिए शिकवा नहीं शुक्र अदा करना चाहिए।
Allah ke har faisle mein humari behtari hoti hai,
Is liye shikwa nahi shukar aada kiya karein.

अपने दिल को मज़बूत बनाओ और अल्लाह पर यक़ीन करो,
वह तुम्हारी हर मुश्किल आसान कर देगा।
Apne dil ko mazboot banao aur Allah par yaqeen karo,
Woh tumhari har mushkil aasan kar de ga.

लोगों से हसद करना छोड़ दो,
इज़्ज़तें अल्लाह देता है इंसान नहीं।
Logon se hassad karna chod dein,
Izzatein Allah deta hai insan nahi.
Islamic Shero Shayari in Hindi

तोड़ने वाले हज़ार बैठे हैं मगर,
जोड़ने वाली ज़ात सिर्फ़ अल्लाह पाक की है।
Todne wale hazaar baithe hain magar,
Jodne wali zaat bas Allah Pak ki hai.

नस नस से वाक़िफ है रग रग जानता है,
मुझे मुझसे बेहतर मेरा रब जानता है।
Nas nas se waqif hai rag rag janta hai,
Mujh ko mujh se behtar mera Rab janta hai.

नमाज़ से ये मत कहो कि मुझे काम करना है,
बल्कि काम से कहो कि मुझे नमाज़ पढ़नी है।
Namaz se na kaho mujhe kaam karna hai,
Balkeh kaam se kaho mujhe namaz padhni hai.

क़ुरआन की तिलावत किया करो यक़ीन मानो
क़ुरआन अपने पढ़ने वालों की सिफारिश करेगा।
Quran ki tilawat kiya karo beshak Quran,
Apne padhne walon ki sifarish kare ga.

माँगना नहीं आता तो बस हाथ फैला दो,
वह बंद होंठों की बोलियाँ भी सुनता है।
Nahi mangna aata toh sirf hath phila do,
Woh band labon ki boliyan bhi sunta hai.