2 line shayari life gives us powerful thoughts about emotions, struggles and the meaning of living. This life poetry is easy to read and contains important lessons that connect with the heart. Many people find comfort in sad shayari in hindi for life. Because it reflects their own experiences and feelings. Zindagi is not easy but it is also about challenges and unforgettable moments. Through shayari we can share these realities in a way that feels inspiring. At PiyaarShayari, you will find unique and soulful shayari that can beautifully motivate and express your emotions.
2 Line Life Shayari in English

Zindagi ek anjaan kitab jaise hai,
Agle panne par kiya likha hai kisi ko nahi pata.

Zaroori nahi ke hum sab ko pasand aaye,
Bas zindagi aise jeo ke Rab ko pasand aaye.

Zindagi mein yeh hunar bhi azmana chahiye,
Apno se ho jang toh haar jana chahiye.

Kuch baatein kehh kar lagta hai chup rehte toh hi acha tha,
Kuch baatein seh kar lagta hai kuch kehh hi lete toh acha tha.

Jo waqt mile usey khushi se ji liya karo,
Kiyun ke laut kar sirf yaadein aati hain waqt nahi.

Zindagi mein hum jo chahte hain woh asani se nahi milta,
Zindagi ka sach toh yehi hai keh hum bhi wohi chahte hain jo asan nahi hota.

Agar insan ko yeh baat samajh aa jaye keh zindagi safar hai,
Manzil nahi toh iski sari uljhanein khatam ho jayen.

Agar zindagi mein khush rehna chahte hain toh kisi bhi jumle ko,
Apni zati toheen na samajhein balkeh bolne wale ki kam zarfi samajh kar aagay badh jayen.
Best 2 Line Shayari Life in Roman

Hum jin ki izzat karte hain woh humein majboor samajhte hain,
Aur hum jin se piyaar karte hain woh humein bewakoof samajhte hain.

Yeh duniya jo tumhein na mumkin se darati hai,
Tumhara Khuda akela hi is duniya par bhari hai.

Manzilein kabhi kisi ke ghar ja kar haziri nahi deti,
Raaston par chalne se hi raaste nikalte hain.

Jitna socho gay utni hi aziyat hogi,
Ya toh khud ko mazboot kar lo ya khud ko bahot masroof.

Saanp so saal baad insan ban jata hai,
Aur insan ko jab moqa milta hai saanp ban jata hai.

Puri duniya mein ak hi shaks hai jo,
Aap ki zindagi ko badal sakta hai aur woh ap khud hain.

Jis ne sukh mein shukar aada kiya,
Us ne dukh mein Rab ko bahot qareeb paya.

Kabhi zindagi ak pal mein guzar jati hai,
Kabhi zindagi ka ak pal nahi guzarta.
English Shayari on Life 2 Lines

Zinda rehna chaho toh moot qiyamat hai,
Aur marna chaho toh zindagi qiyamat hai.

Insan jab zindagi ke imtihano se guzar kar pathar ho jata hai,
Toh koi dil dukha bhi de toh bura nahi lagta.

Zindagi ka safar hamesha ak raasta nahi hota,
Yeh raasta waqt ke sath badlte rehte hain.

Zindagi ki haqeeqat yeh hai keh humein har din,
Naye siray se jeena hota hai par jo sukoon hai woh dil mein nahi hota hai.

Zindagi mein kamiyab wohi hain jo halaat ko badlne ki koshish karte hain,
Na keh jo halaat ke aagay haar maan lete hain.

Zindagi ki sab se badi haqeeqat yeh hai keh,
Jo kuch bhi hota hai woh humein kuch sikhane ke liye hota hai.

Zindagi ka maqsad dusron ki madad karna hai,
Jab tum kisi ka dil jeet lo toh tum ne kamiyabi paa li.

Jab zindagi mein tumhari himmat khatam hone lagay,
Yaad rakho tumhari taqat abhi khatam nahi hoi.
2 Line Sher O Shayari on Life​

Zindagi mein ghaltiyan karna insan ka haq hai,
Lekin in se sekhna hi asal aqalmandi hai.

Zindagi ke har lamhe mein sukoon talash karo,
Kiyun keh wohi sukoon asal kamiyabi hai.

Zindagi ki haqeeqat yeh hai keh hum jeete hain,
Par asal jeet woh hai jo dil mein sukoon lay kar aye.

Agar tum ne har haal mein khush rehne ka fun sekh liya hai,
Toh yaqeen karo zindagi ka sab se bada fun sekh liya hai.

Zindagi ka ek maqsad bana lijiye phir sari quwat uske,
Hasool par sarf kar dein aap yaqeenan kamiyab hoon gay.

Aye zindagi bahot gaur kiya hai maine tujh par,
Tu rangeen khayalon ke siva kuch bhi nahi.

Aye zindagi itna majboor na kar keh baat banane lag jayein,
Hum tere sar ki qasam jhooti hi khane lag jayein.

Aapki zindagi tab tak nahi badle gi jab,
Tak aap woh na badlein jo aap har roz karte hain.
2 Line Awesome Shayari on Life

Kisi ko phool dena mohabbat nahi hai sahib,
Usey sari zindagi phool ki tarah rakhna mohabbat hai.

Kamiyab zindagi yeh nahi keh aap kitne khush hain,
Balkeh kamiyab zindagi toh yeh hai keh aapka khuda aap se kitna khush hai.

Zindagi bahot khubsurat hai sahib agar,
Umeedein sirf Khuda se wabasta kar li jayein.

Zindagi ak khubsurat safar hai jis mein,
Kamiyabi aur nakami dono ka apna rang hai.

Zindagi ki sab se badi kamiyabi yeh hai,
Keh tum apne andar ke khauf ko shikast de sako.

Zindagi mein kabhi bhi kisi se haar na mano,
Kiyun ke kamiyabi hamesha koshish karne walon ka sath deti hai.

Zindagi mein hamesha musbat soch rakho,
Kiyun ke musbat soch hi tumhein kamiyabi ki taraf lay jati hai.

Shakhein rahein toh phool bhi patte bhi ayein gay,
Yeh din agar bure hain toh ache bhi ayein gay.
Also Read: Heart Touching Bewafa Shayari In English